wafa dil mein jaga kar dekh lije
vafā dil meñ jagā kar dekh liije
mujhe mujh se churā kar dekh liije
mujhe apnā hī pā.eñge hamesha
kabhī bhī aazmā kar dekh liije
milegī zindagī us ke hī dar se
kahīñ bhī sar jhukā kar dekh liije
agar kuchh dekhnā chāheñ to mujh ko
kabhī apnā banā kar dekh liije
ġhazal huuñ aur ġhazal bhī aap hī kī
so mujh ko gungunā kar dekh liije
adā-e-be-ruḳhī āḳhir kahāñ tak
kabhī to muskurā kar dekh liije
yahī hai 'shāziya-ālam’ kī duniyā
zarā nazreñ uThā kar dekh liije
wafa dil mein jaga kar dekh lije
mujhe mujh se chura kar dekh lije
mujhe apna hi paenge hamesha
kabhi bhi aazma kar dekh lije
milegi zindagi us ke hi dar se
kahin bhi sar jhuka kar dekh lije
agar kuchh dekhna chahen to mujh ko
kabhi apna bana kar dekh lije
ghazal hun aur ghazal bhi aap hi ki
so mujh ko gunguna kar dekh lije
ada-e-be-ruKHi aaKHir kahan tak
kabhi to muskura kar dekh lije
yahi hai 'shaziya-alam’ ki duniya
zara nazren uTha kar dekh lije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.