wafa fareb-e-nazar kha gai to kya hoga
vafā fareb-e-nazar khā ga.ī to kyā hogā
ḳhulūs-e-shoḳh pe aañch aa ga.ī to kyā hogā
ye nau-damīda ye mā'sūm aarzū kī kalī
bharī bahār meñ murjhā ga.ī to kyā hogā
ye chāñdnī jo tirī yaad se 'ibārat hai
ye chāñdnī bhī jo kajlā ga.ī to kyā hogā
abhī to ek sharāra hai ġhuncha-e-nauras
ye aag nashv-o-numā pā ga.ī to kyā hogā
maiñ dil ko rāh-e-vafā se haTā to luuñ 'mumtāz'
jabīñ nishān-e-qadam pā ga.ī to kyā hogā
wafa fareb-e-nazar kha gai to kya hoga
KHulus-e-shoKH pe aanch aa gai to kya hoga
ye nau-damida ye ma'sum aarzu ki kali
bhari bahaar mein murjha gai to kya hoga
ye chandni jo teri yaad se 'ibarat hai
ye chandni bhi jo kajla gai to kya hoga
abhi to ek sharara hai ghuncha-e-nauras
ye aag nashw-o-numa pa gai to kya hoga
main dil ko rah-e-wafa se haTa to lun 'mumtaz'
jabin nishan-e-qadam pa gai to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.