wafa hoti nahin hai bewafai ho nahin sakti
vafā hotī nahīñ hai bevafā.ī ho nahīñ saktī
kuchh aisī qaid hai jis se rihā.ī ho nahīñ saktī
faqat jī hī nahīñ jaañ kā ziyāñ bhī ‘ain-mumkin hai
ye kār-e-‘ishq hai is meñ kamā.ī ho nahīñ saktī
kabhī ḳhud se kabhī dīvār-o-dar se guftugū Thahrī
tumhāre sāmne to lab-kushā.ī ho nahīñ saktī
dil-e-shorīda-sar ke saath chalte haiñ muravvat meñ
purānā yaar hai be-e'tinā.ī ho nahīñ saktī
tamāshā kyā dikhā.eñ ham tujhe mismār jazboñ kā
ki shahr-e-dil hai aur is meñ khudā.ī ho nahīñ saktī
'munīr' ik 'umr jis ke naam ko vird-e-zabāñ rakkhā
ab us be-mehr kī ham se burā.ī ho nahīñ saktī
wafa hoti nahin hai bewafai ho nahin sakti
kuchh aisi qaid hai jis se rihai ho nahin sakti
faqat ji hi nahin jaan ka ziyan bhi ‘ain-mumkin hai
ye kar-e-‘ishq hai is mein kamai ho nahin sakti
kabhi KHud se kabhi diwar-o-dar se guftugu Thahri
tumhaare samne to lab-kushai ho nahin sakti
dil-e-shorida-sar ke sath chalte hain murawwat mein
purana yar hai be-e'tinai ho nahin sakti
tamasha kya dikhaen hum tujhe mismar jazbon ka
ki shahr-e-dil hai aur is mein khudai ho nahin sakti
'munir' ek 'umr jis ke nam ko wird-e-zaban rakkha
ab us be-mehr ki hum se burai ho nahin sakti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.