wafa jis ki hasti mein shamil nahin hai
vafā jis kī hastī meñ shāmil nahīñ hai
vo dil hī mohabbat ke qābil nahīñ hai
jo manzil pe le jaa.e tūfāñ kahāñ kā
jo kashtī Dubo de vo sāhil nahīñ hai
irādoñ pe qaa.em hai hastī hamārī
agar jiinā chāho to mushkil nahīñ hai
charāġhoñ ke badle yahāñ dil jalāo
ye duniyā sitāroñ kī mahfil nahīñ hai
jidhar se vo guzre yahī shor uThThā
mirā dil nahīñ hai mirā dil nahīñ hai
zamāne kī gardish meñ uljhā huā huuñ
mirā dil magar tujh se ġhāfil nahīñ hai
'kañval' jis ko samjhā hai tū apnī manzil
vo manzil kā dhokā hai manzil nahīñ hai
wafa jis ki hasti mein shamil nahin hai
wo dil hi mohabbat ke qabil nahin hai
jo manzil pe le jae tufan kahan ka
jo kashti Dubo de wo sahil nahin hai
iradon pe qaem hai hasti hamari
agar jina chaho to mushkil nahin hai
charaghon ke badle yahan dil jalao
ye duniya sitaron ki mahfil nahin hai
jidhar se wo guzre yahi shor uThTha
mera dil nahin hai mera dil nahin hai
zamane ki gardish mein uljha hua hun
mera dil magar tujh se ghafil nahin hai
'kanwal' jis ko samjha hai tu apni manzil
wo manzil ka dhoka hai manzil nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.