wafa ka nam hamesha zaban par rakkha
vafā kā naam hamesha zabān par rakkhā
ye baar ham ne faqat apnī jaan par rakkhā
yaqīñ kā phuul na shāḳh-e-gumān par rakhā
ki ham ne ḳhud ko sadā ik nishān par rakkhā
ye kaun chupke se dhaḌkā gayā hai raat kā dil
ye phuul kis ne fasīl-e-makān par rakkhā
hamāre baad hamārī ġhazal ko logoñ ne
hadīs-e-ishq kī sūrat zabān par rakkhā
shikan paḌī na kabhī hausle ke māthe par
nazar ko ham ne sadā āsmān par rakkhā
paroñ ke zor meñ pinhāñ hai manziloñ kā surāġh
isī ḳhayāl ne 'zāhid' uḌaan par rakkhā
wafa ka nam hamesha zaban par rakkha
ye bar hum ne faqat apni jaan par rakkha
yaqin ka phul na shaKH-e-guman par rakha
ki hum ne KHud ko sada ek nishan par rakkha
ye kaun chupke se dhaDka gaya hai raat ka dil
ye phul kis ne fasil-e-makan par rakkha
hamare baad hamari ghazal ko logon ne
hadis-e-ishq ki surat zaban par rakkha
shikan paDi na kabhi hausle ke mathe par
nazar ko hum ne sada aasman par rakkha
paron ke zor mein pinhan hai manzilon ka suragh
isi KHayal ne 'zahid' uDan par rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.