wafa ka sar pe mere saeban rahne de
vafā kā sar pe mire sā.ebān rahne de
mirī zamīñ pe tirā āsmān rahne de
sabhī ke sāmne sach kā bakhān rahne de
jo bad-gumāñ haiñ unheñ bad-gumān rahne de
kaho na jakḌe rivāyat kī beḌiyoñ meñ mujhe
mirī tarah hī mujhe ḳhāndān rahne de
amīr-e-shahr chalegī tirī hī marzī to
‘adālatoñ meñ gavāhī bayān rahne de
vo ham-safar na bane ye qubūl hai mujh ko
du'ā salām to par darmiyān rahne de
tamām 'umr kā mehmāñ na ban mirā lekin
kuchh ek din to tirā mezbān rahne de
wafa ka sar pe mere saeban rahne de
meri zamin pe tera aasman rahne de
sabhi ke samne sach ka bakhan rahne de
jo bad-guman hain unhen bad-guman rahne de
kaho na jakDe riwayat ki beDiyon mein mujhe
meri tarah hi mujhe KHandan rahne de
amir-e-shahr chalegi teri hi marzi to
‘adalaton mein gawahi bayan rahne de
wo ham-safar na bane ye qubul hai mujh ko
du'a salam to par darmiyan rahne de
tamam 'umr ka mehman na ban mera lekin
kuchh ek din to tera mezban rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.