wafa ka shauq ye kis intiha mein le aaya
vafā kā shauq ye kis intihā meñ le aayā
kuchh aur daaġh maiñ apnī qabā meñ le aayā
mire mizāj mire hausle kī baat na kar
maiñ ḳhud charāġh jalā kar havā meñ le aayā
dhanak libās ghaTā zulf dhuup dhuup badan
tumhārā milnā mujhe kis fazā meñ le aayā
vo ek ashk jise rā.egāñ samajhte the
qubūliyat kā sharaf vo duā meñ le aayā
falak ko chhoḌ ke ham dar-ba-dar na the 'shahbāz'
zamīñ se TūTnā ham ko ḳhalā meñ le aayā
wafa ka shauq ye kis intiha mein le aaya
kuchh aur dagh main apni qaba mein le aaya
mere mizaj mere hausle ki baat na kar
main KHud charagh jala kar hawa mein le aaya
dhanak libas ghaTa zulf dhup dhup badan
tumhaara milna mujhe kis faza mein le aaya
wo ek ashk jise raegan samajhte the
qubuliyat ka sharaf wo dua mein le aaya
falak ko chhoD ke hum dar-ba-dar na the 'shahbaz'
zamin se TuTna hum ko KHala mein le aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.