wafa ka zikr chale qurbaton ki baat chale
vafā kā zikr chale qurbatoñ kī baat chale
zahe-nasīb agar vo hamāre saath chale
jo ham ruke to shab-o-roz ruk ga.e yak dam
jo ham chale to zamāne hamāre saath chale
tirā ye lutf-o-karam to sabhī pe ho saaqī
ki mai-kade meñ kam-az-kam na zāt-pāt chale
karam kiyā hai usī ne ki zindagī bhar ham
ḳhizāñ mizāj bahāroñ ke saath saath chale
shab-e-siyāh ne māñgā jo raushnī kā ḳhirāj
jalā ke mish.al-e-jāñ ham junūñ-sifāt chale
likhī huī hai muqaddar meñ shab-navardī kyā
shikasta-pā tire kūche meñ saarī raat chale
sajā liyā shab-e-tanhā ko is tarah maiñ ne
kisī hasīn se farzī mukālamāt chale
ajab ye mausam-e-gul kā ḳhizāñ se rishta hai
hayāt-o-maut bhī hāthoñ meñ Daale haath chale
vo fāsloñ ke sabab duur ho ga.e 'ādil'
ki jin ke dam se hamāre muāmlāt chale
wafa ka zikr chale qurbaton ki baat chale
zahe-nasib agar wo hamare sath chale
jo hum ruke to shab-o-roz ruk gae yak dam
jo hum chale to zamane hamare sath chale
tera ye lutf-o-karam to sabhi pe ho saqi
ki mai-kade mein kam-az-kam na zat-pat chale
karam kiya hai usi ne ki zindagi bhar hum
KHizan mizaj bahaaron ke sath sath chale
shab-e-siyah ne manga jo raushni ka KHiraj
jala ke mishal-e-jaan hum junun-sifat chale
likhi hui hai muqaddar mein shab-nawardi kya
shikasta-pa tere kuche mein sari raat chale
saja liya shab-e-tanha ko is tarah main ne
kisi hasin se farzi mukalamat chale
ajab ye mausam-e-gul ka KHizan se rishta hai
hayat-o-maut bhi hathon mein Dale hath chale
wo faslon ke sabab dur ho gae 'adil'
ki jin ke dam se hamare muamlat chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.