wafa ka zikr nahin hai karam ki baat nahin
vafā kā zikr nahīñ hai karam kī baat nahīñ
tire sulūk meñ phir bhī sitam kī baat nahīñ
tujhe maiñ chāhūñ ye merā nasīb hai lekin
agar tū mujh ko na chāhe to ġham kī baat nahīñ
hasīn shaam jo guzrī vo yādgār banī
ye baat vaise bhī sach hai bharam kī baat nahīñ
har ek baat kā merī ḳhudā rahegā gavāh
har ik janam kī hai ye ik janam kī baat nahīñ
ġhazal vo kaisī vo naġhma hī kyā rahegā 'kiran'
tire kalām meñ jab tak sanam kī baat nahīñ
wafa ka zikr nahin hai karam ki baat nahin
tere suluk mein phir bhi sitam ki baat nahin
tujhe main chahun ye mera nasib hai lekin
agar tu mujh ko na chahe to gham ki baat nahin
hasin sham jo guzri wo yaadgar bani
ye baat waise bhi sach hai bharam ki baat nahin
har ek baat ka meri KHuda rahega gawah
har ek janam ki hai ye ek janam ki baat nahin
ghazal wo kaisi wo naghma hi kya rahega 'kiran'
tere kalam mein jab tak sanam ki baat nahin
- Book : Pehchaan (Pg. 24)
- Author : Kavita Kiran
- Publication : Shiyam Kumar (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.