wafa karna wafa-na-ashna ke sath bhi rahna
vafā karnā vafā-nā-āshnā ke saath bhī rahnā
charāġh-e-zindagī le kar havā ke saath bhī rahnā
shikast-e-shīsha-e-dil par bajā.e ashk-afshānī
kabhī ai chashm-e-tar dast-e-duā ke saath bhī rahnā
mahaknā bo.e gul ban kar kabhī sehn-e-gulistāñ meñ
kabhī sar-gashta āvāra sabā ke saath bhī rahnā
muhīt-e-āb-o-gil meñ jalva-farmā.ī ba-har-manzar
nihāñ nazroñ se bhī dil kī sadā ke saath bhī rahnā
parastish bhī butān-e-ārzū kī roz-o-shab zāhid
kabhī mardān-e-haq ahl-e-safā ke saath bhī rahnā
ye kyā hai duur hī se pursish-e-ahvāl kī zahmat
sharīk-e-ranj-o-rāhat ho to aa ke saath bhī rahnā
hai tauqīr-e-mohabbat farz arbāb-e-mohabbat par
uThānā naaz bhī lekin anā ke saath bhī rahnā
shu.ūr-e-rah-navardī is qadar lāzim hai rahrav par
ravish par apnī chalnā rahnumā ke saath bhī rahnā
ye duniyā kam nahīñ hai vādī-e-pur-ḳhār se 'at.har'
guzarnā is se hai dāman bachā ke saath bhī rahnā
wafa karna wafa-na-ashna ke sath bhi rahna
charagh-e-zindagi le kar hawa ke sath bhi rahna
shikast-e-shisha-e-dil par bajae ashk-afshani
kabhi ai chashm-e-tar dast-e-dua ke sath bhi rahna
mahakna boe gul ban kar kabhi sehn-e-gulistan mein
kabhi sar-gashta aawara saba ke sath bhi rahna
muhit-e-ab-o-gil mein jalwa-farmai ba-har-manzar
nihan nazron se bhi dil ki sada ke sath bhi rahna
parastish bhi butan-e-arzu ki roz-o-shab zahid
kabhi mardan-e-haq ahl-e-safa ke sath bhi rahna
ye kya hai dur hi se pursish-e-ahwal ki zahmat
sharik-e-ranj-o-rahat ho to aa ke sath bhi rahna
hai tauqir-e-mohabbat farz arbab-e-mohabbat par
uThana naz bhi lekin ana ke sath bhi rahna
shuur-e-rah-nawardi is qadar lazim hai rahraw par
rawish par apni chalna rahnuma ke sath bhi rahna
ye duniya kam nahin hai wadi-e-pur-KHar se 'athar'
guzarna is se hai daman bacha ke sath bhi rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.