wafa ke hain KHwan par niwale ze-aab awwal duwam ba-atish
wafa ke hain KHwan par niwale ze-aab awwal duwam ba-atish
Hasrat Azimabadi
MORE BYHasrat Azimabadi
vafā ke haiñ ḳhvān par nivāle ze-a.āb avval duvam ba-ātish
bhare hai saaqī yahāñ pyāle ze-āb avval duvam ba-ātish
chaman meñ josh-e-junūñ ke haiñ ashk aur dāġh-e-darūñ se apne
karūñ shagufta gul aur laale ze-āb avval duvam ba-ātish
hamāre ashk aur aah kī maujeñ bāñdh detī haiñ sab jo duurī
bane haiñ māh-e-falak pe haale ze-āb avval duvam ba-ātish
jahāñ ke sab garm o sard dekhe na zauq hai un meñ kuchh na lazzat
do roz chhātī yahāñ pakāle ze-āb avval do.am ba-ātish
do hukm haiñ shāh-e-'ishq ke in meñ ek galnā hai ek jalnā
haiñ daftar-e-dard meñ qabāle ze-āb avval do.am ba-ātish
na khol vā'iz kitāb-e-dānish ki ātish-e-'ishq o āb-e-mai se
dho.ūñ jalā.ūñ tire risāle ze-āb avval do.am ba-ātish
sitam hai aafat hai mahr yā kiiñ balā ye ishq-e-satīza-gar kī
diloñ ke ḳhāne ujaaḌ Daale ze-āb avval do.am ba-ātish
paḌe haiñ ham ḳhūn-e-dil meñ ġhaltāñ jigar hai dāġh-e-jafā se sozāñ
koī hai apne ta.iiñ sañbhāle ze-āb avval do.am ba-ātish
visāl kī justujū meñ 'hasrat' chalā na zaarī na zor kā kuchh
bahut se yaañ ham ne Dhab nikāle ze-āb avval do.am ba-ātish
wafa ke hain KHwan par niwale ze-aab awwal duwam ba-atish
bhare hai saqi yahan pyale ze-ab awwal duwam ba-atish
chaman mein josh-e-junun ke hain ashk aur dagh-e-darun se apne
karun shagufta gul aur lale ze-ab awwal duwam ba-atish
hamare ashk aur aah ki maujen bandh deti hain sab jo duri
bane hain mah-e-falak pe haale ze-ab awwal duwam ba-atish
jahan ke sab garm o sard dekhe na zauq hai un mein kuchh na lazzat
do roz chhati yahan pakale ze-ab awwal doam ba-atish
do hukm hain shah-e-'ishq ke in mein ek galna hai ek jalna
hain daftar-e-dard mein qabaale ze-ab awwal doam ba-atish
na khol wa'iz kitab-e-danish ki aatish-e-'ishq o aab-e-mai se
dhoun jalaun tere risale ze-ab awwal doam ba-atish
sitam hai aafat hai mahr ya kin bala ye ishq-e-satiza-gar ki
dilon ke KHane ujaD Dale ze-ab awwal doam ba-atish
paDe hain hum KHun-e-dil mein ghaltan jigar hai dagh-e-jafa se sozan
koi hai apne tain sanbhaale ze-ab awwal doam ba-atish
visal ki justuju mein 'hasrat' chala na zari na zor ka kuchh
bahut se yan hum ne Dhab nikale ze-ab awwal doam ba-atish
- Deewan-e-Hasrat Azeemabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.