wafa ke nam pe zahrab ek aur sahi
vafā ke naam pe zahrāb ek aur sahī
bikhar ga.e haiñ ka.ī ḳhvāb ek aur sahī
bujhe bujhe ka.ī manzar haiñ dīda-e-tar meñ
ye Dūbtā huā mahtāb ek aur sahī
jalā ke ek diyā ham ne aur dekh liyā
dhuāñ dhuāñ sī ye mehrāb ek aur sahī
lagī hai bhiiḌ safīna Dubone vāloñ kī
tamāsha koī sar-e-āb ek aur sahī
tumhāre baa'd har ik shai ḳhafā hī thī ham se
ye be-niyāzī-e-ahbāb ek aur sahī
takallufāt se bhī log kaam lete haiñ
ḳhafā jo hai use ādāb ek aur sahī
kabhī to aa.egā us ko 'ra.ūf' apnā ḳhayāl
shikāyat-e-dil-e-be-tāb ek aur sahī
wafa ke nam pe zahrab ek aur sahi
bikhar gae hain kai KHwab ek aur sahi
bujhe bujhe kai manzar hain dida-e-tar mein
ye Dubta hua mahtab ek aur sahi
jala ke ek diya hum ne aur dekh liya
dhuan dhuan si ye mehrab ek aur sahi
lagi hai bhiD safina Dubone walon ki
tamasha koi sar-e-ab ek aur sahi
tumhaare ba'd har ek shai KHafa hi thi hum se
ye be-niyazi-e-ahbab ek aur sahi
takallufat se bhi log kaam lete hain
KHafa jo hai use aadab ek aur sahi
kabhi to aaega us ko 'rauf' apna KHayal
shikayat-e-dil-e-be-tab ek aur sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.