wafa ke nur se KHud ko saja ke baiThi hun
vafā ke nuur se ḳhud ko sajā ke baiThī huuñ
kisī kī yaad meñ duniyā bhulā ke baiThī huuñ
qamar ko aks mirā jab se kah diyā us ne
falak pe jā ke maiñ nāz-o-adā se baiThī huuñ
junūn-e-ishq ne jogan banā diyā mujh ko
dayār-e-yār pe sar maiñ jhukā ke baiThī huuñ
karo na ḳhaak pe mātam mirī jahāñ vāloñ
anā kī aag meñ ḳhud ko jalā ke baiThī huuñ
ġham-e-hayāt mire dar pe kab Thahartā hai
qarīb aa ke maiñ apne ḳhudā ke baiThī huuñ
har ek naqsh-e-qadam kā ye martaba hai mire
maiñ dasht-o-sahrā ko gulshan banā ke baiThī huuñ
vafā pe us kī hai qurbān do-jahāñ 'rinkī'
jamāl-e-yār pe hastī luTā ke baiThī huuñ
wafa ke nur se KHud ko saja ke baiThi hun
kisi ki yaad mein duniya bhula ke baiThi hun
qamar ko aks mera jab se kah diya us ne
falak pe ja ke main naz-o-ada se baiThi hun
junun-e-ishq ne jogan bana diya mujh ko
dayar-e-yar pe sar main jhuka ke baiThi hun
karo na KHak pe matam meri jahan walon
ana ki aag mein KHud ko jala ke baiThi hun
gham-e-hayat mere dar pe kab Thaharta hai
qarib aa ke main apne KHuda ke baiThi hun
har ek naqsh-e-qadam ka ye martaba hai mere
main dasht-o-sahra ko gulshan bana ke baiThi hun
wafa pe us ki hai qurban do-jahan 'rinki'
jamal-e-yar pe hasti luTa ke baiThi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.