wafa ke yaad jis ko fan bahut hain
vafā ke yaad jis ko fan bahut haiñ
usī ke dost kam dushman bahut haiñ
ḳhudā-rā apne aañsū rok liije
barasne ko abhī sāvan bahut haiñ
jahālat surḳh-rū ta.alīm rusvā
añdhere āj-kal raushan bahut haiñ
javāñ beva guzāre ziist kaise
koī rahbar nahīñ rahzan bahut haiñ
jafā dhokā hiqārat zulm nafrat
sharāfat ke liye ye fan bahut haiñ
maiñ huuñ is daur kā suqrāt 'āmir'
zamāne meñ mire dushman bahut haiñ
wafa ke yaad jis ko fan bahut hain
usi ke dost kam dushman bahut hain
KHuda-ra apne aansu rok lije
barasne ko abhi sawan bahut hain
jahaalat surKH-ru talim ruswa
andhere aaj-kal raushan bahut hain
jawan bewa guzare zist kaise
koi rahbar nahin rahzan bahut hain
jafa dhoka hiqarat zulm nafrat
sharafat ke liye ye fan bahut hain
main hun is daur ka suqraat 'amir'
zamane mein mere dushman bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.