wafa KHulus mohabbat ki baat karte hue
vafā ḳhulūs mohabbat kī baat karte hue
maiñ thak chukā huuñ mire dostoñ se laḌte hue
vo ek giit jise khul ke maiñ ne gaayā thā
laraz rahā huuñ vahī giit aaj sunte hue
ye ḳhair-o-shar kī laḌā.ī ye raat din kā tazād
ai kaash dekhūñ kisī roz ḳhatm hote hue
use ḳhabar na thī miTTī use nigal legī
vo paanī ḳhush thā bahut pattharoñ pe bahte hue
magar na siikh sakā ḳhud ko bhūlne kā hunar
tamām umr gañvā dī kitāb paḌhte hue
vahī ilāqa añdheroñ kī dastaras meñ hai
sau āftāb jahāñ dekhe chalte phirte hue
wafa KHulus mohabbat ki baat karte hue
main thak chuka hun mere doston se laDte hue
wo ek git jise khul ke main ne gaya tha
laraz raha hun wahi git aaj sunte hue
ye KHair-o-shar ki laDai ye raat din ka tazad
ai kash dekhun kisi roz KHatm hote hue
use KHabar na thi miTTi use nigal legi
wo pani KHush tha bahut pattharon pe bahte hue
magar na sikh saka KHud ko bhulne ka hunar
tamam umr ganwa di kitab paDhte hue
wahi ilaqa andheron ki dastaras mein hai
sau aaftab jahan dekhe chalte phirte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.