wafa KHulus mohabbat ki raushni ke charagh
vafā ḳhulūs mohabbat kī raushnī ke charāġh
hamesha maiñ ne jalā.e haiñ dostī ke charāġh
ye mat samajhnā ke āsān kaam hotā hai
jigar ke ḳhuun se jalte haiñ zindagī ke charāġh
diloñ se himmat-e-mardāñ nikāl dete haiñ
ajiib qism ke hote haiñ buzdilī ke charāġh
huī jo ishq kī me.arāj ho gayā ma.alūm
uThā ke mushkileñ jalte haiñ āshiqī ke charāġh
suḳhan-sarā.ī meñ hotī nahīñ mujhe diqqat
mire dimāġh meñ jalte haiñ shā.erī ke charāġh
koī kisī kī madad ke liye nahīñ aatā
jalāne paḌte haiñ az-ḳhud hī zindagī ke charāġh
maiñ ek arse se ranj-o-alam kī qaid meñ huuñ
ḳhudāyā kar de atā mujh ko ab ḳhushī ke charāġh
nahīñ hai ḳhvāhish-e-jannat mujhe mire maulā
mirī lahad meñ jalā denā bas alī ke charāġh
ḳhudā se hotī hai qurbat isī liye 'afzal'
havā kī tezī se Darte nahīñ valī ke charāġh
wafa KHulus mohabbat ki raushni ke charagh
hamesha main ne jalae hain dosti ke charagh
ye mat samajhna ke aasan kaam hota hai
jigar ke KHun se jalte hain zindagi ke charagh
dilon se himmat-e-mardan nikal dete hain
ajib qism ke hote hain buzdili ke charagh
hui jo ishq ki mearaj ho gaya malum
uTha ke mushkilen jalte hain aashiqi ke charagh
suKHan-sarai mein hoti nahin mujhe diqqat
mere dimagh mein jalte hain shaeri ke charagh
koi kisi ki madad ke liye nahin aata
jalane paDte hain az-KHud hi zindagi ke charagh
main ek arse se ranj-o-alam ki qaid mein hun
KHudaya kar de ata mujh ko ab KHushi ke charagh
nahin hai KHwahish-e-jannat mujhe mere maula
meri lahad mein jala dena bas ali ke charagh
KHuda se hoti hai qurbat isi liye 'afzal'
hawa ki tezi se Darte nahin wali ke charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.