wafa ki laj hun main pyar ka samundar hun
vafā kī laaj huuñ maiñ pyaar kā samundar huuñ
ye tujh se kis ne kahā rāste kā patthar huuñ
diloñ pe jin ke shujā.at kā naqsh hai merī
vo e'tirāf kareñge ki meñ sikandar huuñ
bahār DhūñDhtī phirtī hai jis ko aalam meñ
ahāliyān-e-chaman maiñ vahī to manzar huuñ
paḌā huā huuñ abhī pattharoñ ke beach magar
mujhe bhī dekh zamāne ki maiñ bhī gauhar huuñ
vo aaj DhūñD rahā hai idhar udhar mujh ko
use ḳhabar hī nahīñ maiñ zamīñ ke andar huuñ
ye ġham to 'soz' kā dāman pakaḌ ke kahtā hai
tū mujh se duur na jā maiñ tirā muqaddar huuñ
wafa ki laj hun main pyar ka samundar hun
ye tujh se kis ne kaha raste ka patthar hun
dilon pe jin ke shujaat ka naqsh hai meri
wo e'tiraf karenge ki mein sikandar hun
bahaar DhunDhti phirti hai jis ko aalam mein
ahaaliyan-e-chaman main wahi to manzar hun
paDa hua hun abhi pattharon ke beach magar
mujhe bhi dekh zamane ki main bhi gauhar hun
wo aaj DhunD raha hai idhar udhar mujh ko
use KHabar hi nahin main zamin ke andar hun
ye gham to 'soz' ka daman pakaD ke kahta hai
tu mujh se dur na ja main tera muqaddar hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.