wafa ki rah mein dushwar go safar bhi nahin
vafā kī raah meñ dushvār go safar bhī nahīñ
hazār sahl sahī lekin is qadar bhī nahīñ
mah-o-nujūm kī duniyā sajī huī hai magar
fasāna ġham kā mire itnā muḳhtasar bhī nahīñ
judā maiñ ḳhud se karūñ tujh ko kis tarah ummīd
tire sivā to mirā koī ham-safar bhī nahīñ
ye kaisā dasht hai kaisā safar hai muddat se
sulagtī ret nahīñ dhuup kā shajar bhī nahīñ
zabāñ se apnī kahūñ dil pe jo guzartī hai
vo be-ḳhabar hī sahī itne be-ḳhabar bhī nahīñ
jo zaḳhm khaa.e haiñ 'sattār' vo dikhā.ūñ bhī
vafā-shanās nahīñ huuñ to be-hunar bhī nahīñ
wafa ki rah mein dushwar go safar bhi nahin
hazar sahl sahi lekin is qadar bhi nahin
mah-o-nujum ki duniya saji hui hai magar
fasana gham ka mere itna muKHtasar bhi nahin
juda main KHud se karun tujh ko kis tarah ummid
tere siwa to mera koi ham-safar bhi nahin
ye kaisa dasht hai kaisa safar hai muddat se
sulagti ret nahin dhup ka shajar bhi nahin
zaban se apni kahun dil pe jo guzarti hai
wo be-KHabar hi sahi itne be-KHabar bhi nahin
jo zaKHm khae hain 'sattar' wo dikhaun bhi
wafa-shanas nahin hun to be-hunar bhi nahin
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 284)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.