wafa ki rah mein dushwariyan hain
vafā kī raah meñ dushvāriyāñ haiñ
laboñ par ishq kī gulkāriyāñ haiñ
hazāroñ bandisheñ haiñ ḳhvāhishoñ pe
jahān-e-dil kī bhī tayyāriyāñ haiñ
sabab us shāḳh-e-gul ke TūTne kā
havā-e-tund kī makkāriyāñ haiñ
abhī tak ranj se fāriġh nahīñ dil
abhī tak ishq meñ ġham-ḳhvāriyāñ haiñ
milā.ī aañkh jā kar maut se tab
tumhāre ghar meñ ye kilkāriyāñ haiñ
ḳhulūs-e-dil hamārā kam nahīñ hai
tabī.at meñ magar ḳhuddāriyāñ haiñ
rahī hai 'sāhiba' to sādgī meñ
diloñ ke khel meñ ayyāriyāñ hai
wafa ki rah mein dushwariyan hain
labon par ishq ki gulkariyan hain
hazaron bandishen hain KHwahishon pe
jahan-e-dil ki bhi tayyariyan hain
sabab us shaKH-e-gul ke TuTne ka
hawa-e-tund ki makkariyan hain
abhi tak ranj se farigh nahin dil
abhi tak ishq mein gham-KHwariyan hain
milai aankh ja kar maut se tab
tumhaare ghar mein ye kilkariyan hain
KHulus-e-dil hamara kam nahin hai
tabiat mein magar KHuddariyan hain
rahi hai 'sahiba' to sadgi mein
dilon ke khel mein ayyariyan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.