wafa ki rah mein jo naqd-e-jaan luTa aae
vafā kī raah meñ jo naqd-e-jāñ luTā aa.e
lab-e-zamāna ne vo chand naam dohrā.e
jab ik bhī lamha ḳhushī kā na apne paas aa.e
ḳhudā bachā.e ham is zindagī se bhar paa.e
tulū-e-sub.h-e-mohabbat kā intizār rahā
magar vatan meñ to kuchh aur baḌh ga.e saa.e
futūr-e-niyyat-e-sāqī se nibh na saktī thī
ham apne jaam ko maiḳhāne hī meñ toḌ aa.e
ḳharāb haal the phir bhī bachā.ī ḳhud-dārī
na haath joḌe kahīñ aur na haath phailā.e
hazār haif ki dil ke kahe ko Taal diyā
us ek bhuul pe ham laakh baar pachhtā.e
ajiib baat hai apnoñ ne kī na kuchh bhī madad
jo ġhair the vahī baḌh chaḌh ke mere kaam aa.e
ḳhudā-e-pāk ne kar lī qubūl merī duā
jab ashk bahte ga.e aur hoñT tharrā.e
har ek shaḳhs ko da.avā hai hosh-mandī kā
ye haal ho to bhalā kaun kis ko samjhā.e
jahāñ se uTh ga.e ‘josh’-o-‘jigar’ se 'anvar' se
koī jo laa.e to arz-e-hunar ko kyā laa.e
jadīd daur-e-zavāl-e-ġhazal meñ bhī 'maġhmūm
hamīñ ne husn-e-taġhazzul ke phuul barsā.e
wafa ki rah mein jo naqd-e-jaan luTa aae
lab-e-zamana ne wo chand nam dohrae
jab ek bhi lamha KHushi ka na apne pas aae
KHuda bachae hum is zindagi se bhar pae
tulu-e-subh-e-mohabbat ka intizar raha
magar watan mein to kuchh aur baDh gae sae
futur-e-niyyat-e-saqi se nibh na sakti thi
hum apne jam ko maiKHane hi mein toD aae
KHarab haal the phir bhi bachai KHud-dari
na hath joDe kahin aur na hath phailae
hazar haif ki dil ke kahe ko Tal diya
us ek bhul pe hum lakh bar pachhtae
ajib baat hai apnon ne ki na kuchh bhi madad
jo ghair the wahi baDh chaDh ke mere kaam aae
KHuda-e-pak ne kar li qubul meri dua
jab ashk bahte gae aur honT tharrae
har ek shaKHs ko dawa hai hosh-mandi ka
ye haal ho to bhala kaun kis ko samjhae
jahan se uTh gae ‘josh’-o-‘jigar’ se 'anwar' se
koi jo lae to arz-e-hunar ko kya lae
jadid daur-e-zawal-e-ghazal mein bhi 'maghmum
hamin ne husn-e-taghazzul ke phul barsae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.