wafa ki rah mein kya mehrban mila mujhko
vafā kī raah meñ kyā mehrbāñ milā mujh ko
jo aap mil ga.e saarā jahāñ milā mujh ko
tujhī ko apnā banāyā tujhī se pyaar kiyā
sukūn-e-qalb tire bin kahāñ milā mujh ko
kise sunātā maiñ kaifiyyat-e-darūn-e-dil
na ham-suḳhan na koī ham-zabāñ milā mujh ko
nigāh-e-qalb ke khulte hī aaj merā ḳhudā
maiñ DhūñDtā thā kahāñ aur kahāñ milā mujh ko
maiñ jab lagan ke paroñ se uḌaan bharne lagā
na.ī zamīn nayā āsmāñ milā mujh ko
wafa ki rah mein kya mehrban mila mujh ko
jo aap mil gae sara jahan mila mujh ko
tujhi ko apna banaya tujhi se pyar kiya
sukun-e-qalb tere bin kahan mila mujh ko
kise sunata main kaifiyyat-e-darun-e-dil
na ham-suKHan na koi ham-zaban mila mujh ko
nigah-e-qalb ke khulte hi aaj mera KHuda
main DhunDta tha kahan aur kahan mila mujh ko
main jab lagan ke paron se uDan bharne laga
nai zamin naya aasman mila mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.