wafa ki ummid bewafa se rakha karoge to ro paDoge
vafā kī ummīd bevafā se rakhā karoge to ro paḌoge
maiñ jī rahā huuñ jo zindagī tum jiyā karoge to ro paḌoge
vo bhuul baiThā hai jo sabhī kuchh to kyoñ na dil tum use bhulā do
suno purānā vo zaḳhm phir se harā karoge to ro paḌoge
sajā ke ghar ko rakhā hai jis ne bahār har pal kiyā hai jis ne
jigar kā TukḌā vo beTī ghar se vidā’ karoge to ro paḌoge
virah kī rāteñ judā.ī ke din bane the dushman hamārī jaañ ke
guzārā tum bin hai kaise jīvan pata karoge to ro paḌoge
tumhīñ ko chāhā tumhīñ ko sochā tumhārā hī ġham bayāñ kiyā hai
agar ġhazal tum hamārī dil se paḌhā karoge to ro paḌoge
burā bahut hī hai rog dil kā nahīñ hai jaatā ye jaañ liye bin
mohabbatoñ kā jo bhuul kar bhī nasha karoge to ro paḌoge
bahut hī kāñToñ-bharī Dagar hai na ḳhatm ho jo ye vo safar hai
jahāñ meñ sach kī Dagar pe 'hīrā' chalā karoge to ro paḌoge
wafa ki ummid bewafa se rakha karoge to ro paDoge
main ji raha hun jo zindagi tum jiya karoge to ro paDoge
wo bhul baiTha hai jo sabhi kuchh to kyon na dil tum use bhula do
suno purana wo zaKHm phir se hara karoge to ro paDoge
saja ke ghar ko rakha hai jis ne bahaar har pal kiya hai jis ne
jigar ka TukDa wo beTi ghar se wida’ karoge to ro paDoge
wirah ki raaten judai ke din bane the dushman hamari jaan ke
guzara tum bin hai kaise jiwan pata karoge to ro paDoge
tumhin ko chaha tumhin ko socha tumhaara hi gham bayan kiya hai
agar ghazal tum hamari dil se paDha karoge to ro paDoge
bura bahut hi hai rog dil ka nahin hai jata ye jaan liye bin
mohabbaton ka jo bhul kar bhi nasha karoge to ro paDoge
bahut hi kanTon-bhari Dagar hai na KHatm ho jo ye wo safar hai
jahan mein sach ki Dagar pe 'hira' chala karoge to ro paDoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.