wafa ko tark karun ye mera shiar nahin
vafā ko tark karūñ ye mirā shi.ār nahīñ
na ho balā se kisī ko jo e.atibār nahīñ
mire sukūn kī duniyā ujāḌne vaale
batā ki aur tujhe koī iḳhtiyār nahīñ
nigāh uThte hī māyūsiyoñ meñ Duub ga.ī
tire na hone se rangīnī-e-bahār nahīñ
mohabbat aur zamāne kā jabr are tauba
ki un se arz-e-mohabbat kā iḳhtiyār nahīñ
nashāt meñ bhī jhalaktā hai rang-e-nākāmī
qarār meñ bhī koī sūrat-e-qarār nahīñ
wafa ko tark karun ye mera shiar nahin
na ho bala se kisi ko jo eatibar nahin
mere sukun ki duniya ujaDne wale
bata ki aur tujhe koi iKHtiyar nahin
nigah uThte hi mayusiyon mein Dub gai
tere na hone se rangini-e-bahaar nahin
mohabbat aur zamane ka jabr are tauba
ki un se arz-e-mohabbat ka iKHtiyar nahin
nashat mein bhi jhalakta hai rang-e-nakaami
qarar mein bhi koi surat-e-qarar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.