wafa-koshi nahin jati sitam-rani nahin jati
wafa-koshi nahin jati sitam-rani nahin jati
Rajendr Bahadur Mauj
MORE BYRajendr Bahadur Mauj
vafā-koshī nahīñ jaatī sitam-rānī nahīñ jaatī
ye apnī apnī aadat hai ba-āsānī nahīñ jaatī
hijāboñ se haqīqat kī daraḳhshānī nahīñ jaatī
ki lau fānūs ke andar hai tābānī nahīñ jaatī
junūn-e-ishq kī ai dil farāvānī nahīñ jaatī
ki manzil sāmne hai aur pahchānī nahīñ jaatī
nahīñ jaatī hamārī ḳhāna-vīrānī nahīñ jaatī
ki sho.ale bujh chuke haiñ sho.ala-sāmānī nahīñ jaatī
tajāhul ārifāna un kā bazm-e-ġhair meñ tauba
ki pahchānī huī sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī
chaman meñ raat bhar go bāda-e-shabnam barastī hai
gul-o-bulbul kī phir bhī pāk-dāmanī nahīñ jaatī
kahāñ ham haiñ ki man-mānī tumhārī maan lete haiñ
hamārī mānñe kī baat bhī maanī nahīñ jaatī
nigāh-e-husn hī kuchh kaam kar jaa.e to mumkin hai
rafū karne se varna chāk-dāmānī nahīñ jaatī
muḳhālif kuchh kareñ urdu zabāñ miT hī nahīñ saktī
ki jab tak apnī mahfil se ġhazal-ḳhvānī nahīñ jaatī
mohabbat 'mauj' vo dariyā hai jis kī thaah mushkil hai
agar ik baar aa jaatī hai tuġhyānī nahīñ jaatī
wafa-koshi nahin jati sitam-rani nahin jati
ye apni apni aadat hai ba-asani nahin jati
hijabon se haqiqat ki daraKHshani nahin jati
ki lau fanus ke andar hai tabani nahin jati
junun-e-ishq ki ai dil farawani nahin jati
ki manzil samne hai aur pahchani nahin jati
nahin jati hamari KHana-virani nahin jati
ki shoale bujh chuke hain shoala-samani nahin jati
tajahul aarifana un ka bazm-e-ghair mein tauba
ki pahchani hui surat bhi pahchani nahin jati
chaman mein raat bhar go baada-e-shabnam barasti hai
gul-o-bulbul ki phir bhi pak-damani nahin jati
kahan hum hain ki man-mani tumhaari man lete hain
hamari manne ki baat bhi mani nahin jati
nigah-e-husn hi kuchh kaam kar jae to mumkin hai
rafu karne se warna chaak-damani nahin jati
muKHalif kuchh karen urdu zaban miT hi nahin sakti
ki jab tak apni mahfil se ghazal-KHwani nahin jati
mohabbat 'mauj' wo dariya hai jis ki thah mushkil hai
agar ek bar aa jati hai tughyani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.