wafa mein paikar-e-isar banna kitna mushkil hai
vafā meñ paikar-e-īsār banñā kitnā mushkil hai
kisī ke pyaar kā haqdār banñā kitnā mushkil hai
masā.il har qabīle ke samajh lenā to hai āsāñ
qabīle kā magar sardār banñā kitnā mushkil hai
tasādum hai yahāñ bāham mafādāt-e-ḳhusūsī haiñ
yahāñ par ġhair-jānib-dār banñā kitnā mushkil hai
jahāñ par jabr-e-hākim se sabhī kī gardaneñ ḳham hoñ
vahāñ par sāhab-e-dastār banñā kitnā mushkil hai
bahut āsān hai sho.aloñ kā phūloñ meñ badal jaanā
ḳhud apnī aag meñ gulzār banñā kitnā mushkil hai
ġhamoñ ke rang se ḳhushiyoñ ke ḳhāke ham banāte haiñ
hameñ mālūm hai fankār banñā kitnā mushkil hai
ham apne ahd ke bachchoñ ko itnā to batā.eñge
binā mehnat kiye zardār banñā kitnā mushkil hai
uThāne ko ye dīvāreñ to 'sīmā' sab uThā leñge
magar ik sāya-e-dīvār banñā kitnā mushkil hai
wafa mein paikar-e-isar banna kitna mushkil hai
kisi ke pyar ka haqdar banna kitna mushkil hai
masail har qabile ke samajh lena to hai aasan
qabile ka magar sardar banna kitna mushkil hai
tasadum hai yahan baham mafadat-e-KHususi hain
yahan par ghair-jaanib-dar banna kitna mushkil hai
jahan par jabr-e-hakim se sabhi ki gardanen KHam hon
wahan par sahab-e-dastar banna kitna mushkil hai
bahut aasan hai shoalon ka phulon mein badal jaana
KHud apni aag mein gulzar banna kitna mushkil hai
ghamon ke rang se KHushiyon ke KHake hum banate hain
hamein malum hai fankar banna kitna mushkil hai
hum apne ahd ke bachchon ko itna to bataenge
bina mehnat kiye zardar banna kitna mushkil hai
uThane ko ye diwaren to 'sima' sab uTha lenge
magar ek saya-e-diwar banna kitna mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.