wafa na un ke na apne hi bas mein kya kije
vafā na un ke na apne hī bas meñ kyā kiije
asīr-e-bahr haiñ tinkoñ se kyā gila kiije
hisār-e-sang se Takrā ke mar to sakte haiñ
najāt sāmne hai kuchh to hausla kiije
bahut dinoñ se nahīñ koī zindagī kā javāz
badal ke lafz vahī va.ada phir atā kiije
pahāḌ kāTne vāloñ ko koī samjhā de
ki ho sake to kisī dil meñ rāsta kiije
palak pe Thahrī huī shab pighal ke bah jaa.e
kisī udaas fasāne kī ibtidā kiije
na yuuñ ho laash ke purze ḳhalā meñ kho jaa.eñ
zamīñ kā ḳhātma-bil-ḳhair ho duā kiije
isī ko apnā kafan kījiye aur so rahiye
ye shab na guzregī 'qaisī' ḳhudā-ḳhudā kiije
wafa na un ke na apne hi bas mein kya kije
asir-e-bahr hain tinkon se kya gila kije
hisar-e-sang se Takra ke mar to sakte hain
najat samne hai kuchh to hausla kije
bahut dinon se nahin koi zindagi ka jawaz
badal ke lafz wahi wada phir ata kije
pahaD kaTne walon ko koi samjha de
ki ho sake to kisi dil mein rasta kije
palak pe Thahri hui shab pighal ke bah jae
kisi udas fasane ki ibtida kije
na yun ho lash ke purze KHala mein kho jaen
zamin ka KHatma-bil-KHair ho dua kije
isi ko apna kafan kijiye aur so rahiye
ye shab na guzregi 'qaisi' KHuda-KHuda kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.