wafa se aashna koi nahin hai
vafā se āshnā koī nahīñ hai
agarche bevafā koī nahīñ hai
ḳhudā hai aur tūfāñ meñ safīna
hamārā nāḳhudā koī nahīñ hai
fasānoñ kī taraf maa.il hai duniyā
haqīqat-āshnā koī nahīñ hai
vahāñ tak is bashar kī hai rasā.ī
jahāñ tere sivā koī nahīñ hai
baḌhī jaatī hai apnī dhun meñ duniyā
palaT kar dekhtā koī nahīñ hai
abhī gulshan kā hai māhaul achchhā
abhī pattā harā koī nahīñ hai
mohabbat ḳhud davā hai zindagī kī
mohabbat kī davā koī nahīñ hai
junūñ kī ibtidā hai hosh-mandī
junūñ kī intihā koī nahīñ hai
nigāhoñ kī hadoñ meñ sirf tū hai
nazar meñ dūsrā koī nahīñ hai
vo kuchh bhī ho 'la.īq' insāñ na hogā
agar us se ḳhafā koī nahīñ hai
wafa se aashna koi nahin hai
agarche bewafa koi nahin hai
KHuda hai aur tufan mein safina
hamara naKHuda koi nahin hai
fasanon ki taraf mail hai duniya
haqiqat-ashna koi nahin hai
wahan tak is bashar ki hai rasai
jahan tere siwa koi nahin hai
baDhi jati hai apni dhun mein duniya
palaT kar dekhta koi nahin hai
abhi gulshan ka hai mahaul achchha
abhi patta hara koi nahin hai
mohabbat KHud dawa hai zindagi ki
mohabbat ki dawa koi nahin hai
junun ki ibtida hai hosh-mandi
junun ki intiha koi nahin hai
nigahon ki hadon mein sirf tu hai
nazar mein dusra koi nahin hai
wo kuchh bhi ho 'laiq' insan na hoga
agar us se KHafa koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.