wafa-shiar ko tu ne zalil-o-KHwar kiya
wafa-shiar ko tu ne zalil-o-KHwar kiya
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq
MORE BYPandit Jagmohan Nath Raina Shauq
vafā-shi.ār ko tū ne zalīl-o-ḳhvār kiyā
jafā-parast ye kyā sheva iḳhtiyār kiyā
uThā.e se na uThā dil kā parda-e-ġhaflat
ḳhatā huī ki un āñkhoñ pe e.atibār kiyā
nigāh-e-mast-e-haqīqat to de chukī thī javāb
magar ye dil hī thā phir us ne hoshiyār kiyā
na vo taḌap rahī dil meñ na vo rahī sozish
ilaaj kyā thā ye kyā tū ne ġham-gusār kiyā
dikhā ke jalva-e-bātil kī ik jhalak ai husn
ḳhudā ke banda ko nāhaq gunāhgār kiyā
kisī ke bas kā dil-e-muztarib na thā lekin
hamīñ ne ḳhūgar-e-andoh-e-intizār kiyā
ḳhayāl-e-ishq ne rahmat se bhī rakhā mahrūm
ye kyā kiyā ki gunāhoñ pe e.atibār kiyā
kahe meñ aa ke dil-e-nā-subūr ke ham ne
tamām shab tire aane kā intizār kiyā
tumheñ to ḳhaak meñ milnā thā mil ga.e āḳhir
jahāñ meñ shauq abas un ko sharmsār kiyā
wafa-shiar ko tu ne zalil-o-KHwar kiya
jafa-parast ye kya shewa iKHtiyar kiya
uThae se na uTha dil ka parda-e-ghaflat
KHata hui ki un aankhon pe eatibar kiya
nigah-e-mast-e-haqiqat to de chuki thi jawab
magar ye dil hi tha phir us ne hoshiyar kiya
na wo taDap rahi dil mein na wo rahi sozish
ilaj kya tha ye kya tu ne gham-gusar kiya
dikha ke jalwa-e-baatil ki ek jhalak ai husn
KHuda ke banda ko nahaq gunahgar kiya
kisi ke bas ka dil-e-muztarib na tha lekin
hamin ne KHugar-e-andoh-e-intizar kiya
KHayal-e-ishq ne rahmat se bhi rakha mahrum
ye kya kiya ki gunahon pe eatibar kiya
kahe mein aa ke dil-e-na-subur ke hum ne
tamam shab tere aane ka intizar kiya
tumhein to KHak mein milna tha mil gae aaKHir
jahan mein shauq abas un ko sharmsar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.