wafa thi ishq tha had se guzar jaane ki baaten thin
vafā thī ishq thā had se guzar jaane kī bāteñ thiiñ
ye sab kuchh thā magar ye kuchh dinoñ pahle kī bāteñ thiiñ
bayāñ kaise ho lafzoñ meñ ki un bahke se lamhoñ meñ
vo jismoñ ke simaTne pairahan khulne kī bāteñ thiiñ
bahut ulfat mohabbat ahd-o-paimāñ sunte aa.e haiñ
khulā ye ab kahīñ jā kar ye sab kahne kī bāteñ thiiñ
vo din bhī the ki tere lams kī narmī ke qisse the
barahna sar pe terī zulf ke saa.e kī bāteñ thiiñ
tirī zulf-e-pareshāñ meñ ulajh kar rah ga.e varna
mire sheroñ meñ is duniyā se kuchh aage kī bāteñ thiiñ
wafa thi ishq tha had se guzar jaane ki baaten thin
ye sab kuchh tha magar ye kuchh dinon pahle ki baaten thin
bayan kaise ho lafzon mein ki un bahke se lamhon mein
wo jismon ke simaTne pairahan khulne ki baaten thin
bahut ulfat mohabbat ahd-o-paiman sunte aae hain
khula ye ab kahin ja kar ye sab kahne ki baaten thin
wo din bhi the ki tere lams ki narmi ke qisse the
barahna sar pe teri zulf ke sae ki baaten thin
teri zulf-e-pareshan mein ulajh kar rah gae warna
mere sheron mein is duniya se kuchh aage ki baaten thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.