wafaen hongi zeb-e-taq-e-nisyan hum na kahte the
wafaen hongi zeb-e-taq-e-nisyan hum na kahte the
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
vafā.eñ hoñgī zeb-e-tāq-e-nisyāñ ham na kahte the
bhulā baiThoge tum sab ‘ahd-o-paimāñ ham na kahte the
mileñge ḳhaak meñ sab dil ke armāñ ham na kahte the
chaman ban jā.egā ḳhvāb-e-pareshāñ ham na kahte the
uThāoge na kuchh lutf-e-bahārāñ ham na kahte the
karoge tum bhī ik din chaak dāmāñ ham na kahte the
chhupāoge tum apnā dard-e-dil kab tak tasanno' se
ubhar aa.egā āḳhir zaḳhm-e-pinhāñ ham na kahte the
milegī lazzat-e-kām-o-dahan jab ḳhūn-e-nāhaq se
baḌhegā aur bhī ye zauq-e-‘isyāñ ham na kahte the
raqābat kashmakash aur ye kudūrat ahl-e-gulshan kī
lahū rulvā.egī fasl-e-bahārāñ ham na kahte the
manāo ḳhair apnī ab mirā ghar phūñkne vaalo
kahīñ tum bhī na ho sho’la-ba-dāmāñ ham na kahte the
jidhar dekho 'zakī' taḳhrīb kī farmāñ-ravā.ī hai
uThegā ḳhaak ke zarroñ se tūfāñ ham na kahte the
wafaen hongi zeb-e-taq-e-nisyan hum na kahte the
bhula baiThoge tum sab ‘ahd-o-paiman hum na kahte the
milenge KHak mein sab dil ke arman hum na kahte the
chaman ban jaega KHwab-e-pareshan hum na kahte the
uThaoge na kuchh lutf-e-bahaaran hum na kahte the
karoge tum bhi ek din chaak daman hum na kahte the
chhupaoge tum apna dard-e-dil kab tak tasanno' se
ubhar aaega aaKHir zaKHm-e-pinhan hum na kahte the
milegi lazzat-e-kaam-o-dahan jab KHun-e-nahaq se
baDhega aur bhi ye zauq-e-‘isyan hum na kahte the
raqabat kashmakash aur ye kudurat ahl-e-gulshan ki
lahu rulwaegi fasl-e-bahaaran hum na kahte the
manao KHair apni ab mera ghar phunkne walo
kahin tum bhi na ho sho’la-ba-daman hum na kahte the
jidhar dekho 'zaki' taKHrib ki farman-rawai hai
uThega KHak ke zarron se tufan hum na kahte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.