wafaen karke jafa-kashon mein shumar aaya to maine dekha
vafā.eñ karke jafā-kashoñ meñ shumār aaya to maiñ ne dekhā
ki sāf-shaffāf ā.inoñ par ġhubār aaya to maiñ ne dekhā
na karb kā ho qayās jis meñ na saath ho ġham-shanās jis meñ
nazar ke bāhar kā vo safar bhī guzār aaya to maiñ ne dekhā
tamām gul mere rū-ba-rū the ki paañv mere lahū lahū the
jo qarz kāñToñ kī rahbarī kā utaar aaya to maiñ ne dekhā
zabāñ pe harf-o-sadā nahīñ hai kisī bhī lab par duā nahīñ hai
har ek insāñ zamīr apnā jo haar aaya to maiñ ne dekhā
usī ke virse meñ rahbarī hai usī ke hisse meñ zindagī hai
jo kār-sāz-e-amal kā maidān maar aaya to maiñ ne dekhā
wafaen karke jafa-kashon mein shumar aaya to main ne dekha
ki saf-shaffaf aainon par ghubar aaya to main ne dekha
na karb ka ho qayas jis mein na sath ho gham-shanas jis mein
nazar ke bahar ka wo safar bhi guzar aaya to main ne dekha
tamam gul mere ru-ba-ru the ki panw mere lahu lahu the
jo qarz kanTon ki rahbari ka utar aaya to main ne dekha
zaban pe harf-o-sada nahin hai kisi bhi lab par dua nahin hai
har ek insan zamir apna jo haar aaya to main ne dekha
usi ke wirse mein rahbari hai usi ke hisse mein zindagi hai
jo kar-saz-e-amal ka maidan mar aaya to main ne dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.