wafaen uske dar par DhunDhta hun
vafā.eñ us ke dar par DhūñDhtā huuñ
maiñ sahrā meñ samundar DhūñDhtā huuñ
na hoñ jis meñ judā patte shajar se
koī aisā december DhūñDhtā huuñ
vo mere paas hai jaane kahāñ hai
maiñ us ko saath le kar DhūñDhtā huuñ
ho jis kā fe’l us ke qaul jaisā
maiñ ik aisā suḳhanvar DhūñDhtā huuñ
mire andar añdherā hai balā kā
koī ḳhurshīd-paikar DhūñDhtā huuñ
khaḌā rahtā huuñ ā.īne ke aage
maiñ apnā aap aksar DhūñDhtā huuñ
furāt-e-ashk āñkhoñ meñ sajā kar
lab-e-dariyā bahattar DhūñDhtā huuñ
talāsh us kī ne pāgal kar diyā hai
vo andar hai maiñ bāhar DhūñDhtā huuñ
musalsal qatl hotā huuñ maiñ 'sāgar'
kabhī baazū kabhī sar DhūñDhtā huuñ
wafaen us ke dar par DhunDhta hun
main sahra mein samundar DhunDhta hun
na hon jis mein juda patte shajar se
koi aisa december DhunDhta hun
wo mere pas hai jaane kahan hai
main us ko sath le kar DhunDhta hun
ho jis ka fe’l us ke qaul jaisa
main ek aisa suKHanwar DhunDhta hun
mere andar andhera hai bala ka
koi KHurshid-paikar DhunDhta hun
khaDa rahta hun aaine ke aage
main apna aap aksar DhunDhta hun
furaat-e-ashk aankhon mein saja kar
lab-e-dariya bahattar DhunDhta hun
talash us ki ne pagal kar diya hai
wo andar hai main bahar DhunDhta hun
musalsal qatl hota hun main 'sagar'
kabhi bazu kabhi sar DhunDhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.