wafaon ka apni sila chahta hun
vafāoñ kā apnī sila chāhtā huuñ
fanā ho ke rang-e-baqā chāhtā huuñ
sabab be-qarārī kā merī yahī hai
ki maiñ hāsil-e-mudda.ā chāhtā huuñ
chhupā.ūñ maiñ kis tarah rāz-e-mohabbat
nigāhoñ se zāhir hai kyā chāhtā huuñ
mohabbat kī mai ho ki ho zahr-e-ulfat
sukūñ jis se ho vo davā chāhtā huuñ
sañbhāl aa ke ai nā-ḳhudā-e-mohabbat
vagarna maiñ ab Dūbnā chāhtā huuñ
'riyāz' un ke muñh se jo pahle sunā thā
vahī muzhda-e-jāñ-fazā chāhtā huuñ
wafaon ka apni sila chahta hun
fana ho ke rang-e-baqa chahta hun
sabab be-qarari ka meri yahi hai
ki main hasil-e-muddaa chahta hun
chhupaun main kis tarah raaz-e-mohabbat
nigahon se zahir hai kya chahta hun
mohabbat ki mai ho ki ho zahr-e-ulfat
sukun jis se ho wo dawa chahta hun
sanbhaal aa ke ai na-KHuda-e-mohabbat
wagarna main ab Dubna chahta hun
'riyaz' un ke munh se jo pahle suna tha
wahi muzhda-e-jaan-faza chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.