wafaon ka use meri agar iqrar ho jae
vafāoñ kā use merī agar iqrār ho jaa.e
hazāroñ ġham uThāne ko ye dil tayyār ho jaa.e
bahut muhtāt rahtā huuñ maiñ apnī rishta-sāzī par
kahīñ aisā na ho phir se koī takrār ho jaa.e
jo terā saath hai mujh ko to kyā ḳhadsha talātum kā
ye kashtī Duub jaa.e yā bhale se paar ho jaa.e
baḌā jaadū jhalaktā hai tirī masrūr āñkhoñ meñ
nazar ik dekh le jis ko vahī fankār ho jaa.e
ġhamoñ kī bhiiḌ meñ kaTte nahīñ ab roz-o-shab 'qādir'
shikasta dil ke goshe meñ koī jhankār ho jaa.e
wafaon ka use meri agar iqrar ho jae
hazaron gham uThane ko ye dil tayyar ho jae
bahut muhtat rahta hun main apni rishta-sazi par
kahin aisa na ho phir se koi takrar ho jae
jo tera sath hai mujh ko to kya KHadsha talatum ka
ye kashti Dub jae ya bhale se par ho jae
baDa jadu jhalakta hai teri masrur aankhon mein
nazar ek dekh le jis ko wahi fankar ho jae
ghamon ki bhiD mein kaTte nahin ab roz-o-shab 'qadir'
shikasta dil ke goshe mein koi jhankar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.