wafaon ki jafaon ki to taswiren nahin hotin
vafāoñ kī jafāoñ kī to tasvīreñ nahīñ hotīñ
to kyā chehroñ pe insānoñ ke tahrīreñ nahīñ hotīñ
chalo maanā zabāñ-bandī to nāfiz ho ga.ī lekin
kareñ jo qaid zehn-o-dil vo zanjīreñ nahīñ hotīñ
ye daulat saltanat tāqat hukūmat haiñ magar kab tak
kisī kī mustaqil duniyā meñ jāgīreñ nahīñ hotīñ
ka.ī aurāq yādoñ ke haiñ jin meñ ab bhī raushan haiñ
hazāroñ ḳhvāb aise jin kī tā'bīreñ nahīñ hotīñ
'abas hai us kī har koshish mire sar ko jhukāne kī
zamīñ par āsmāñ laane kī tadbīreñ nahīñ hotīñ
chalo jo jang meñ to pairahan ko āhanī kar lo
ba-dast-e-dushmanāñ miTTī kī shamshīreñ nahīñ hotīñ
ḳhudā chāhe jise jo baḳhsh de ye us kī marzī hai
sivā kuchh is ke insānoñ kī taqdīreñ nahīñ hotīñ
wafaon ki jafaon ki to taswiren nahin hotin
to kya chehron pe insanon ke tahriren nahin hotin
chalo mana zaban-bandi to nafiz ho gai lekin
karen jo qaid zehn-o-dil wo zanjiren nahin hotin
ye daulat saltanat taqat hukumat hain magar kab tak
kisi ki mustaqil duniya mein jagiren nahin hotin
kai auraq yaadon ke hain jin mein ab bhi raushan hain
hazaron KHwab aise jin ki ta'biren nahin hotin
'abas hai us ki har koshish mere sar ko jhukane ki
zamin par aasman lane ki tadbiren nahin hotin
chalo jo jang mein to pairahan ko aahani kar lo
ba-dast-e-dushmanan miTTi ki shamshiren nahin hotin
KHuda chahe jise jo baKHsh de ye us ki marzi hai
siwa kuchh is ke insanon ki taqdiren nahin hotin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.