wafur-e-shauq-e-jalwa mein dua ko bhul jate hain
wafur-e-shauq-e-jalwa mein dua ko bhul jate hain
Raushan Laal Raushan
MORE BYRaushan Laal Raushan
vafūr-e-shauq-e-jalva meñ duā ko bhuul jaate haiñ
mohabbat karne vaale to ḳhudā ko bhuul jaate haiñ
usūloñ par jahāñ bhī maslahat tarjīh paatī hai
vahīñ ahl-e-ġharaz apnī vafā ko bhuul jaate haiñ
hazāroñ Thokareñ miltī haiñ ham ko dahr-e-fānī meñ
agar duniyā meñ ham terī razā ko bhuul jaate haiñ
mohabbat karne vaale to jahāñ meñ apne dilbar kī
vafā ko yaad rakhte haiñ jafā ko bhuul jaate haiñ
ḳhudā kā naam yuuñ rakhte to haiñ vird-e-zabāñ vaa.iz
tamāsha hai magar ahl-e-ḳhudā ko bhuul jaate haiñ
vafūr-e-zar vafūr-e-aish meñ to bārhā 'raushan'
bahut se log aise haiñ ḳhudā ko bhuul jaate haiñ
wafur-e-shauq-e-jalwa mein dua ko bhul jate hain
mohabbat karne wale to KHuda ko bhul jate hain
usulon par jahan bhi maslahat tarjih pati hai
wahin ahl-e-gharaz apni wafa ko bhul jate hain
hazaron Thokaren milti hain hum ko dahr-e-fani mein
agar duniya mein hum teri raza ko bhul jate hain
mohabbat karne wale to jahan mein apne dilbar ki
wafa ko yaad rakhte hain jafa ko bhul jate hain
KHuda ka nam yun rakhte to hain wird-e-zaban waiz
tamasha hai magar ahl-e-KHuda ko bhul jate hain
wafur-e-zar wafur-e-aish mein to barha 'raushan'
bahut se log aise hain KHuda ko bhul jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.