wafur-e-sher hai aur raat hone wali hai
vafūr-e-sher hai aur raat hone vaalī hai
tū chāñd hai to mulāqāt hone vaalī hai
tumhārī baat ne dil kī ghaTā ko chheḌ diyā
hamārī āñkhoñ se barsāt hone vaalī hai
ye ek saath jo ḳhāmosh ho ga.e haiñ log
zarūr koī baḌī baat hone vaalī hai
har ek shaḳhs hī tesha uThā.e phirtā hai
butoñ kī shahr meñ bohtāt hone vaalī hai
vo apnī āñkhoñ meñ āyāt likh ke laayā hai
is ajnabī se mujhe maat hone vaalī hai
maiñ jāntā huuñ haqīqat savāng-e-mahshar kī
ye dil-lagī bhī mire saath hone vaalī hai
vo kār-e-ishq meñ bhī kāmyāb ho gayā hai
ab us ko lambī havālāt hone vaalī hai
hamāre zabt kī puḳhta-ravī se lagtā hai
kuchh aur talḳhī-e-auqāt hone vaalī hai
safar to hogā magar rāste nahīñ hoñge
ajiib sūrat-e-hālāt hone vaalī hai
wafur-e-sher hai aur raat hone wali hai
tu chand hai to mulaqat hone wali hai
tumhaari baat ne dil ki ghaTa ko chheD diya
hamari aankhon se barsat hone wali hai
ye ek sath jo KHamosh ho gae hain log
zarur koi baDi baat hone wali hai
har ek shaKHs hi tesha uThae phirta hai
buton ki shahr mein bohtat hone wali hai
wo apni aankhon mein aayat likh ke laya hai
is ajnabi se mujhe mat hone wali hai
main jaanta hun haqiqat sawang-e-mahshar ki
ye dil-lagi bhi mere sath hone wali hai
wo kar-e-ishq mein bhi kaamyab ho gaya hai
ab us ko lambi hawalat hone wali hai
hamare zabt ki puKHta-rawi se lagta hai
kuchh aur talKHi-e-auqat hone wali hai
safar to hoga magar raste nahin honge
ajib surat-e-haalat hone wali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.