wahan ab ja ke dekhen humse kya irshad karte hain
wahan ab ja ke dekhen humse kya irshad karte hain
Waseem Khairabadi
MORE BYWaseem Khairabadi
vahāñ ab jā ke dekheñ ham se kyā irshād karte haiñ
qazā kahtī hai chaliye aap ko vo yaad karte haiñ
janāb-e-vā.iz-o-pīr-e-muġhāñ kāmil to haiñ donoñ
vo kuchh irshād karte haiñ ye kuchh irshād karte haiñ
pa.e tāzīm-e-dard uThtā hai ai nāvak-fagan dil meñ
qadam-ranja jo tere nāvak-e-bedād karte haiñ
kabhī karte haiñ ham bāda-parastī jā ke ka.abe meñ
kabhī aa kar haram se mai-kade ābād karte haiñ
na chhoḌā saath mahshar tak hamārā tū vo mūnis thā
ġham-e-marhūm tujh ko ḳhuld meñ ham yaad karte haiñ
vo hañs kar ham se kahte haiñ paḌeñ is chaah par patthar
jo ham un se bayān-e-saḳhtī-e-farhād karte haiñ
qafas se chhuT ke bhī ham qaid haiñ dām-e-mohabbat meñ
'vasīm' āzād kar ke bhī vo kab āzād karte haiñ
wahan ab ja ke dekhen hum se kya irshad karte hain
qaza kahti hai chaliye aap ko wo yaad karte hain
janab-e-waiz-o-pir-e-mughan kaamil to hain donon
wo kuchh irshad karte hain ye kuchh irshad karte hain
pae tazim-e-dard uThta hai ai nawak-fagan dil mein
qadam-ranja jo tere nawak-e-bedad karte hain
kabhi karte hain hum baada-parasti ja ke kabe mein
kabhi aa kar haram se mai-kade aabaad karte hain
na chhoDa sath mahshar tak hamara tu wo munis tha
gham-e-marhum tujh ko KHuld mein hum yaad karte hain
wo hans kar hum se kahte hain paDen is chah par patthar
jo hum un se bayan-e-saKHti-e-farhad karte hain
qafas se chhuT ke bhi hum qaid hain dam-e-mohabbat mein
'wasim' aazad kar ke bhi wo kab aazad karte hain
- Book : Aqa-e-sukhan waseem Khairabadi hayat aur karname (Pg. 222)
- Author : Waseem Khairabadi
- Publication : Farid Bilgrami, Bilgrami Building Miyan Sarai Khairabad sitapur (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.