wahan hain apni KHud-araiyan hijab nahin
wahan hain apni KHud-araiyan hijab nahin
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
vahāñ haiñ apnī ḳhud-ārā.iyāñ hijāb nahīñ
maqām-e-jalva hai parda nahīñ naqāb nahīñ
maiñ jis jahān meñ huuñ māh-o-āftāb nahīñ
taġhayyurāt nahīñ koī inqalāb nahīñ
hijāb-e-ahl-e-nazar hai faroġh-e-husn tirā
jo be-naqāb bhī tū hai to be-naqāb nahīñ
vo laakh chhupte magar ham to dekh hī lete
hamārī aañkh jahāñ hai vahāñ hijāb nahīñ
mai-e-majāz-o-haqīqat kā nashsha ho jis meñ
hamāre jām-e-sifālī meñ vo sharāb nahīñ
tamām raat paḌā karvaTeñ badaltā huuñ
jo mere sāmne vo chashm-e-nīm-ḳhvāb nahīñ
likhe hue haiñ vo sab haath se farishtoñ ke
mire gunāhoñ kā kyūñkar kahūñ hisāb nahīñ
bikher zulf-e-siyah ko na rū-e-raushan par
chhupā.e abr jise ye vo āftāb nahīñ
abhī hai naaz uThāne kā hausla baaqī
ki dil vahī hai agar mausam-e-shabāb nahīñ
ye un kī uThtī javānī kī ik haqīqat hai
ulaT na de jo qayāmat ko vo shabāb nahīñ
lagī hai kaisī ye chup tum ko ai adam vaalo
kisī savāl kā mere koī javāb nahīñ
nazar-navāz adā.eñ haiñ husn-e-ḳhud-bīñ kī
hayā kā shā.iba jin meñ nahīñ hijāb nahīñ
qadam sañbhāl ke rakh pā.emāl ho na koī
zamīn-e-gor-e-ġharībāñ hai farsh-e-ḳhvāb nahīñ
nazar-fareb hai duniyā-e-dūñ kā nazzāra
tilism-e-vahm-o-gumāñ hai faqat sarāb nahīñ
azal se vaqf-e-taġhayyur nizām-e-hastī hai
zamāna rang dikhātā hai inqalāb nahīñ
kuchh aaj lazzat-e-dard-e-jigar kā lutf milā
huā sukūn to kyā kuchh ab iztirāb nahīñ
fidā-e-nām-e-mubārak hai 'shād' suufī bhī
kahe na koī sanā-ḳhvān-e-bū-turāb nahīñ
wahan hain apni KHud-araiyan hijab nahin
maqam-e-jalwa hai parda nahin naqab nahin
main jis jahan mein hun mah-o-aftab nahin
taghayyuraat nahin koi inqalab nahin
hijab-e-ahl-e-nazar hai farogh-e-husn tera
jo be-naqab bhi tu hai to be-naqab nahin
wo lakh chhupte magar hum to dekh hi lete
hamari aankh jahan hai wahan hijab nahin
mai-e-majaz-o-haqiqat ka nashsha ho jis mein
hamare jam-e-sifali mein wo sharab nahin
tamam raat paDa karwaTen badalta hun
jo mere samne wo chashm-e-nim-KHwab nahin
likhe hue hain wo sab hath se farishton ke
mere gunahon ka kyunkar kahun hisab nahin
bikher zulf-e-siyah ko na ru-e-raushan par
chhupae abr jise ye wo aaftab nahin
abhi hai naz uThane ka hausla baqi
ki dil wahi hai agar mausam-e-shabab nahin
ye un ki uThti jawani ki ek haqiqat hai
ulaT na de jo qayamat ko wo shabab nahin
lagi hai kaisi ye chup tum ko ai adam walo
kisi sawal ka mere koi jawab nahin
nazar-nawaz adaen hain husn-e-KHud-bin ki
haya ka shaiba jin mein nahin hijab nahin
qadam sanbhaal ke rakh paemal ho na koi
zamin-e-gor-e-ghariban hai farsh-e-KHwab nahin
nazar-fareb hai duniya-e-dun ka nazzara
tilism-e-wahm-o-guman hai faqat sarab nahin
azal se waqf-e-taghayyur nizam-e-hasti hai
zamana rang dikhata hai inqalab nahin
kuchh aaj lazzat-e-dard-e-jigar ka lutf mila
hua sukun to kya kuchh ab iztirab nahin
fida-e-nam-e-mubarak hai 'shad' sufi bhi
kahe na koi sana-KHwan-e-bu-turab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.