wahan majbur hai kawish jahan taqdir mein KHam ho
wahan majbur hai kawish jahan taqdir mein KHam ho
Om Prakash Laghar
MORE BYOm Prakash Laghar
vahāñ majbūr hai kāvish jahāñ taqdīr meñ ḳham ho
muqaddar kā likhā honā hai to kis baat kā ġham ho
zabāñ kab kholte haiñ rāz-e-haq ke jānñe vaale
vo hangām-e-masarrat ho ki ranj-o-ġham kā aalam ho
abhī guftār aur kirdār meñ hai fāsla baaqī
koī tadbīr ho aisī ki un kā fāsla kam ho
haqīqat hai to bas itnī ki paanī phir bhī paanī hai
mai-e-kausar ho gangā-jal ho yā vo āb-e-zamzam ho
yaqīñ mohkam ho jin kā vo kabhī ġhamgīñ nahīñ hote
hamesha muskurāte haiñ balā se koī aalam ho
yahī ik iltijā hai qādir-e-mutlaq se ai 'lāġhar'
vo mere sāmne hoñ aur merā āḳhirī dam ho
wahan majbur hai kawish jahan taqdir mein KHam ho
muqaddar ka likha hona hai to kis baat ka gham ho
zaban kab kholte hain raaz-e-haq ke jaanne wale
wo hangam-e-masarrat ho ki ranj-o-gham ka aalam ho
abhi guftar aur kirdar mein hai fasla baqi
koi tadbir ho aisi ki un ka fasla kam ho
haqiqat hai to bas itni ki pani phir bhi pani hai
mai-e-kausar ho ganga-jal ho ya wo aab-e-zamzam ho
yaqin mohkam ho jin ka wo kabhi ghamgin nahin hote
hamesha muskuraate hain bala se koi aalam ho
yahi ek iltija hai qadir-e-mutlaq se ai 'laghar'
wo mere samne hon aur mera aaKHiri dam ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.