wahan se raushni ki ek nadi nikalti hai
vahāñ se raushnī kī ik nadī nikaltī hai
jahāñ-jahāñ se tirī pālkī nikaltī hai
mire nasīb meñ tū is tarah nikal aa.e
kisī ġharīb kī jyuuñ lottery nikaltī hai
kisī ke saath zarūrī hai ghar basānā bhī
bhalā sarā.e meñ kyā zindagī nikaltī hai
zamāne-bhar meñ ta.alluq kamā.e haiñ us ne
kahīñ bhī jaatā hai to dostī nikaltī hai
isī liye maiñ koī aur baat kartā nahīñ
tujhe jo dekhūñ to bas shā.erī nikaltī hai
wahan se raushni ki ek nadi nikalti hai
jahan-jahan se teri palki nikalti hai
mere nasib mein tu is tarah nikal aae
kisi gharib ki jyun lottery nikalti hai
kisi ke sath zaruri hai ghar basana bhi
bhala sarae mein kya zindagi nikalti hai
zamane-bhar mein talluq kamae hain us ne
kahin bhi jata hai to dosti nikalti hai
isi liye main koi aur baat karta nahin
tujhe jo dekhun to bas shaeri nikalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.