wahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha
vahī andāz-e-jahān-e-guzarāñ hai ki jo thā
in nigāhoñ se vahī raaz ayaañ hai ki jo thā
vahī rindoñ kī siyah-noshī-e-durd-e-tah-e-jām
vahī nazzāra sar-e-kū-e-muġhāñ hai ki jo thā
haa.e us kaif-e-nuḳhustīñ kī ḳhumār-angezī
tirī āñkhoñ meñ vahī ḳhvāb javāñ hai ki jo thā
vahī tarġhīb-e-tamanna kī chaman-ārā.ī
aur pahlū meñ vahī qalb-e-tapāñ hai ki jo thā
lazzat-e-shauq kā anfās meñ nam baaqī hai
mire siine meñ vahī soz-e-nihāñ hai ki jo thā
inqilābāt abhī gardish-e-ayyām meñ haiñ
tire jalvoñ meñ vahī sahr-e-ravāñ hai ki jo thā
zauq-e-vārafta kī asnām-garī miT na sakī
hā.il-e-rāh vahī sang-e-girāñ hai ki jo thā
vahī āshufta-nigāhī vahī sahrā-talabī
vahī ik ma.arka-e-sūd-o-ziyāñ hai ki jo thā
wahi andaz-e-jahan-e-guzaran hai ki jo tha
in nigahon se wahi raaz ayan hai ki jo tha
wahi rindon ki siyah-noshi-e-durd-e-tah-e-jam
wahi nazzara sar-e-ku-e-mughan hai ki jo tha
hae us kaif-e-nuKHustin ki KHumar-angezi
teri aankhon mein wahi KHwab jawan hai ki jo tha
wahi targhib-e-tamanna ki chaman-arai
aur pahlu mein wahi qalb-e-tapan hai ki jo tha
lazzat-e-shauq ka anfas mein nam baqi hai
mere sine mein wahi soz-e-nihan hai ki jo tha
inqilabaat abhi gardish-e-ayyam mein hain
tere jalwon mein wahi sahr-e-rawan hai ki jo tha
zauq-e-warafta ki asnam-gari miT na saki
hail-e-rah wahi sang-e-giran hai ki jo tha
wahi aashufta-nigahi wahi sahra-talabi
wahi ek marka-e-sud-o-ziyan hai ki jo tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.