wahi barbaadi-e-gulshan ka mujib the aur ab bhi hain
wahi barbaadi-e-gulshan ka mujib the aur ab bhi hain
Muhammad Fiaz Hasrat
MORE BYMuhammad Fiaz Hasrat
vahī barbādī-e-gulshan kā mūjib the aur ab bhī haiñ
chaman saarā ho is se āshnā to kyā tamāsha ho
koī pattā binā jis ke ishāre ke nahīñ hiltā
kaTahre meñ gar aa.e vo balā to kyā tamāsha ho
ḳhudā.ī āfatoñ se vo balā mar saktī hai lekin
kisī insāñ se ho ye hādisa to kyā tamāsha ho
tamāsha des kā jis ne banā rakhā hai sadiyoñ se
rakheñ ham us se ummīd-e-vafā to kyā tamāsha ho
maiñ kyā kyā sochtā rahtā huuñ jaise baad 'hasrat' ke
hoñ jo ma.azūl andāz-o-adā to kyā tamāsha ho
wahi barbaadi-e-gulshan ka mujib the aur ab bhi hain
chaman sara ho is se aashna to kya tamasha ho
koi patta bina jis ke ishaare ke nahin hilta
kaTahre mein gar aae wo bala to kya tamasha ho
KHudai aafaton se wo bala mar sakti hai lekin
kisi insan se ho ye hadisa to kya tamasha ho
tamasha des ka jis ne bana rakha hai sadiyon se
rakhen hum us se ummid-e-wafa to kya tamasha ho
main kya kya sochta rahta hun jaise baad 'hasrat' ke
hon jo mazul andaz-o-ada to kya tamasha ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.