wahi be-yaqini ki hai faza wahi gard-baad-e-shumal hai
wahi be-yaqini ki hai faza wahi gard-baad-e-shumal hai
Shama Zafar Mehdi
MORE BYShama Zafar Mehdi
vahī be-yaqīnī kī hai fazā vahī gard-bād-e-shumāl hai
maiñ charāġh-e-jāñ huuñ liye hue vahī shām-e-shahr-e-malāl hai
vo masāfateñ bhī guzar ga.iiñ ki duā ke phuul the haath meñ
ye mohabbatoñ kā dayār hai yahī merā māl-o-manāl hai
tire harf harf meñ ramz hai tirī guftugū bhī kamāl hai
kabhī mil ke tujh se ḳhushī milī kabhī tū hī vaj.h-e-malāl hai
hai ufuq ufuq tirā tazkira hai bahr bahr tirī dāstāñ
mire ā.īnoñ meñ hai zau-fagan vo tirā hī aks-e-jamāl hai
kabhī be-javāz nahīñ rahī mirī zindagī kā javāz hai
tirī chāhatoñ pe ġhurūr hai mirī chāhatoñ kī misāl hai
kabhī dil pe baar liyā nahīñ ki gila kisī se kiyā nahīñ
vahī be-niyāzī-e-dostāñ vahī merā husn-e-ḳhayāl hai
wahi be-yaqini ki hai faza wahi gard-baad-e-shumal hai
main charagh-e-jaan hun liye hue wahi sham-e-shahr-e-malal hai
wo masafaten bhi guzar gain ki dua ke phul the hath mein
ye mohabbaton ka dayar hai yahi mera mal-o-manal hai
tere harf harf mein ramz hai teri guftugu bhi kamal hai
kabhi mil ke tujh se KHushi mili kabhi tu hi wajh-e-malal hai
hai ufuq ufuq tera tazkira hai bahr bahr teri dastan
mere aainon mein hai zau-fagan wo tera hi aks-e-jamal hai
kabhi be-jawaz nahin rahi meri zindagi ka jawaz hai
teri chahaton pe ghurur hai meri chahaton ki misal hai
kabhi dil pe bar liya nahin ki gila kisi se kiya nahin
wahi be-niyazi-e-dostan wahi mera husn-e-KHayal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.