wahi dil ko hai yar-e-jaani ke sath
vahī dil ko hai yār-e-jānī ke saath
jo rishta hai dariyā kā paanī ke saath
hamīñ rah ga.e be-zabānī ke saath
hue ḳhatm sab us kahānī ke saath
baḌhā aur girye se soz-e-darūñ
bhaḌaktī ga.ī aag paanī ke saath
kahīñ ye zamāne kī rau to nahīñ
subuk-sair kyā hai girānī ke saath
har ik aan us kā alag rang hai
use dekhiye kis nishānī ke saath
chalo mauj vo bhī kināre lagī
ulajhtī bahut thī ravānī ke saath
bhiḌā kar to dekho maza aa.egā
kisī din na.ī ko purānī ke saath
wahi dil ko hai yar-e-jaani ke sath
jo rishta hai dariya ka pani ke sath
hamin rah gae be-zabani ke sath
hue KHatm sab us kahani ke sath
baDha aur girye se soz-e-darun
bhaDakti gai aag pani ke sath
kahin ye zamane ki rau to nahin
subuk-sair kya hai girani ke sath
har ek aan us ka alag rang hai
use dekhiye kis nishani ke sath
chalo mauj wo bhi kinare lagi
ulajhti bahut thi rawani ke sath
bhiDa kar to dekho maza aaega
kisi din nai ko purani ke sath
- Book : غبار حیرانی (Pg. 93)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.