wahi hai aankhon mein KHwab rang-e-malal jaisa
vahī hai āñkhoñ meñ ḳhvāb rang-e-malāl jaisā
diloñ meñ duurī kā baab shīshe meñ baal jaisā
rukī huī āhaToñ se aage koī zamāna
khile hue phuul kī suhānī misāl jaisā
bahut hī pyārā thā us kā inkār bhī ki ab tak
nasha hai un ḳhaam sā.atoñ kā visāl jaisā
bahut purānī rutoñ kā ġham phir diye jalā.e
mile kahīñ jab koī tire ḳhadd-o-ḳhāl jaisā
vo maiñ thā yā koī vahm saaya sā chal rahā thā
lipaT gayā dil se ḳhauf makḌī ke jaal jaisā
utaar mere lahū meñ sachchā.iyoñ kā sahrā
khilā gulāb us meñ phir mohammad kī aal jaisā
wahi hai aankhon mein KHwab rang-e-malal jaisa
dilon mein duri ka bab shishe mein baal jaisa
ruki hui aahaTon se aage koi zamana
khile hue phul ki suhani misal jaisa
bahut hi pyara tha us ka inkar bhi ki ab tak
nasha hai un KHam saaton ka visal jaisa
bahut purani ruton ka gham phir diye jalae
mile kahin jab koi tere KHadd-o-KHal jaisa
wo main tha ya koi wahm saya sa chal raha tha
lipaT gaya dil se KHauf makDi ke jal jaisa
utar mere lahu mein sachchaiyon ka sahra
khila gulab us mein phir mohammad ki aal jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.