wahi hai dasht-e-safar rahguzar se aage bhi
vahī hai dasht-e-safar rahguzar se aage bhī
vahī ḳhalā hai hudūd-e-nazar se aage bhī
vo āftāb isī sahn meñ muallaq hai
agarche ghar haiñ bahut us ke ghar se aage bhī
hamāre dam se hai qaa.em zamīñ kī zarḳhezī
hamārā faiz hai shāḳh-e-shajar se aage bhī
talāsh-e-nūr meñ ham bārhā nikal aa.e
nazar ke saath hudūd-e-safar se aage bhī
ġhalat umiid na bāñdh in nahīf logoñ se
koī uḌā hai bhalā bāl-o-par se aage bhī
yahāñ se lauT chalo jaan kī amaañ chāho
ka.ī tilism haiñ dīvār-o-dar se aage bhī
wahi hai dasht-e-safar rahguzar se aage bhi
wahi KHala hai hudud-e-nazar se aage bhi
wo aaftab isi sahn mein muallaq hai
agarche ghar hain bahut us ke ghar se aage bhi
hamare dam se hai qaem zamin ki zarKHezi
hamara faiz hai shaKH-e-shajar se aage bhi
talash-e-nur mein hum barha nikal aae
nazar ke sath hudud-e-safar se aage bhi
ghalat umid na bandh in nahif logon se
koi uDa hai bhala baal-o-par se aage bhi
yahan se lauT chalo jaan ki aman chaho
kai tilism hain diwar-o-dar se aage bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.