wahi hai dast-e-junun hamara badalta rahta hai go qarina
wahi hai dast-e-junun hamara badalta rahta hai go qarina
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
vahī hai dast-e-junūñ hamārā badaltā rahtā hai go qarīna
usī se dāman ko chaak karnā usī se dāman ke chaak siinā
ḳhudā bachā.e to bach sakeñge savāl ab nāḳhudā kā kyā hai
kinārā duur aur thake haiñ baazū ghirā hai tūfān haiñ safīna
jahāñ nahīñ ḳhuun kī zarūrat vahāñ ġhalat nāz-e-sarfaroshī
jo kisht-e-mehnat ko sīñchtā ho lahū se behtar hai vo pasīna
ye saqf-e-dair-o-haram nahīñ hai ye āsmāñ ishq kā hai is par
vahī musāfir qadar uThā.e banā sake jo diloñ ko ziina
ridā-e-zarrin-e-mehr-e-tābāñ ḳhalā meñ hai taar taar jab tak
imaam kī dil kī dhaḌkanoñ se kahānī bantī rahīñ 'mubīna'
uThī pilāne kī rasm 'ehsāñ' to kyoñ na ḳhālī raheñ pyāle
ḳhudā kī barakat hai mai-kade meñ bhare haiñ ḳham aur bharā hai miinā
wahi hai dast-e-junun hamara badalta rahta hai go qarina
usi se daman ko chaak karna usi se daman ke chaak sina
KHuda bachae to bach sakenge sawal ab naKHuda ka kya hai
kinara dur aur thake hain bazu ghira hai tufan hain safina
jahan nahin KHun ki zarurat wahan ghalat naz-e-sarfaroshi
jo kisht-e-mehnat ko sinchta ho lahu se behtar hai wo pasina
ye saqf-e-dair-o-haram nahin hai ye aasman ishq ka hai is par
wahi musafir qadar uThae bana sake jo dilon ko zina
rida-e-zarrin-e-mehr-e-taban KHala mein hai tar tar jab tak
imam ki dil ki dhaDkanon se kahani banti rahin 'mubina'
uThi pilane ki rasm 'ehsan' to kyon na KHali rahen pyale
KHuda ki barakat hai mai-kade mein bhare hain KHam aur bhara hai mina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.