wahi hai tarz-e-taghaful wahi hai KHu mujh mein
vahī hai tarz-e-taġhāful vahī hai ḳhū mujh meñ
utar gayā ho vo jaise ki hū-ba-hū mujh meñ
maiñ manziloñ ko bhī ab rahguzar samajhtā huuñ
kahāñ se umḌā hai ye shauq-e-justujū mujh meñ
rahegā zindagī pe faḳhr tā-dam-e-āḳhir
agar jhalaktī rahī shān-e-ābrū mujh meñ
ḳhushī yahī hai bil-āḳhir kisī ke kaam aa.e
bachā huā hai jo ik buuñd bhar lahū mujh meñ
agarche mai-kade meñ jā sakā na muddat se
basā hai ab bhī magar shor-e-hā-o-hū mujh meñ
ye kis ke dam se charāġhāñ hai merī bazm-e-ḳhayāl
ye kaun kartā hai chhup-chhup ke guftugū mujh meñ
kisī tarah se mirī bartarī na ho paa.ī
ḳhayāl-e-dost bhī ban kar rahā adū mujh meñ
mujhe yaqīn hai vo din zarūr aa.egā
ki jab maiñ tujh meñ samā.ūñgā aur tū mujh meñ
banā hai marja.a-e-ahbāb ghar mirā 'gauhar'
dar aa.ī mehr-o-mohabbat kī jab se bū mujh meñ
wahi hai tarz-e-taghaful wahi hai KHu mujh mein
utar gaya ho wo jaise ki hu-ba-hu mujh mein
main manzilon ko bhi ab rahguzar samajhta hun
kahan se umDa hai ye shauq-e-justuju mujh mein
rahega zindagi pe faKHr ta-dam-e-aKHir
agar jhalakti rahi shan-e-abru mujh mein
KHushi yahi hai bil-aKHir kisi ke kaam aae
bacha hua hai jo ek bund bhar lahu mujh mein
agarche mai-kade mein ja saka na muddat se
basa hai ab bhi magar shor-e-ha-o-hu mujh mein
ye kis ke dam se charaghan hai meri bazm-e-KHayal
ye kaun karta hai chhup-chhup ke guftugu mujh mein
kisi tarah se meri bartari na ho pai
KHayal-e-dost bhi ban kar raha adu mujh mein
mujhe yaqin hai wo din zarur aaega
ki jab main tujh mein samaunga aur tu mujh mein
bana hai marja-e-ahbab ghar mera 'gauhar'
dar aai mehr-o-mohabbat ki jab se bu mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.