wahi hum hain aur wahi soz-e-gham wahi subh aur wahi sham hai
wahi hum hain aur wahi soz-e-gham wahi subh aur wahi sham hai
Wali Kakoravi
MORE BYWali Kakoravi
vahī ham haiñ aur vahī soz-e-ġham vahī sub.h aur vahī shaam hai
magar aah un ko ye kyā huā na salām hai na payām hai
na vo shikve haiñ na shikāyateñ na vo qisse haiñ na hikāyateñ
na vo lutf-e-guft-o-shunīd hai na vo jalva-e-lab-e-bām hai
hai udaas mahfil-e-mai-kashī na vo mastiyāñ na vo sarḳhushī
na nashāt-e-naġhma-o-sāz hai na surūr-e-bāda-o-jām hai
hue inqilāb hazār-hā falak-o-zamīñ meñ par aaj tak
mire dil meñ terī hī yaad hai mire lab pe terā hī naam hai
mirā un kā kyā hai muqābla maiñ ḳhizāñ huuñ aur vo bahār haiñ
unheñ jām-e-aish halāl hai mujhe ḳhvāb-e-aish harām hai
na huā visāl nasīb agar to mujhe zarā bhī gila nahīñ
tire ġham kī umr darāz ho ki isī meñ lutf-e-davām hai
tirā dast-e-shauq pahuñch sake kabhī un ke dāman-e-nāz tak
ye nasīb tere kahāñ 'valī' ye tirā taḳhayyul-e-ḳhām hai
wahi hum hain aur wahi soz-e-gham wahi subh aur wahi sham hai
magar aah un ko ye kya hua na salam hai na payam hai
na wo shikwe hain na shikayaten na wo qisse hain na hikayaten
na wo lutf-e-guft-o-shunid hai na wo jalwa-e-lab-e-baam hai
hai udas mahfil-e-mai-kashi na wo mastiyan na wo sarKHushi
na nashat-e-naghma-o-saz hai na surur-e-baada-o-jam hai
hue inqilab hazar-ha falak-o-zamin mein par aaj tak
mere dil mein teri hi yaad hai mere lab pe tera hi nam hai
mera un ka kya hai muqabla main KHizan hun aur wo bahaar hain
unhen jam-e-aish halal hai mujhe KHwab-e-aish haram hai
na hua visal nasib agar to mujhe zara bhi gila nahin
tere gham ki umr daraaz ho ki isi mein lutf-e-dawam hai
tera dast-e-shauq pahunch sake kabhi un ke daman-e-naz tak
ye nasib tere kahan 'wali' ye tera taKHayyul-e-KHam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.